muhje deewana kahte ho ye tum achchha nahi kahte
samjdar admi auro ko bhi aisa nahi kahte
samaj me aa nahi sakti kisi ke mahsalat unki
muhje apna samjate hai par apna nahi sakte
wah fir barbad hi karde magar dil le to le mera
mai har kimmat pe raji hu muhje sauda nahi kahte
jo sach puchho to unse to hamare haq me gair achchhe
bura bhi to nahi kahte agar achchha nahi kahte
abhi aaye abhi fir chal diye par khair aaye to
magar fir aise aane ko to hum aana nahi kahte
wafa karne jiske aapko itna taqlluf ho
na hone ke barabar hai ise vada nahi kahte
jo sakhti se kisi ki kham hui gardan ko kya hashil
ise hum kufr kahte hai ise sajda nahi kahte
unhi ke muh lagane se badhi agiyar ki himmat
wah jab diwana kahte hai to wah kya-kya nahi kahte
apni kaha kismat ki ji yu hi jara khoosh hokar
samajate to hai wah apna magar apna nahi kahte
Saturday, February 2, 2008
Apna nahi kahte
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment